kisi taKHliq ke paikar mein aana chahta hun
kisi taKHliq ke paikar mein aana chahta hun
Khushbir Singh Shaad
MORE BYKhushbir Singh Shaad
kisī taḳhlīq ke paikar meñ aanā chāhtā huuñ
tasavvur huuñ kahīñ apnā Thikāna chāhtā huuñ
mujhe tahsīn kī jab koī ḳhvāhish hī nahīñ hai
to apne sher kyuuñ tujh ko sunānā chāhtā huuñ
mujhe tujh se shikāyat bhī hai lekin ye bhī sach hai
tujhe ai zindagī maiñ vālihāna chāhtā huuñ
isī ḳhātir to ye sinf-e-suḳhan maiñ ne chunī hai
ki jo mahsūs kartā huuñ batānā chāhtā huuñ
mire in ḳhushk hoñToñ ko zarā namnāk kar de
maiñ apnī pyaas kī shiddat chhupānā chāhtā huuñ
tabhī to 'shād' palkoñ par sajā rakkhā hai un ko
maiñ apne ḳhvāb duniyā ko dikhānā chāhtā huuñ
kisi taKHliq ke paikar mein aana chahta hun
tasawwur hun kahin apna Thikana chahta hun
mujhe tahsin ki jab koi KHwahish hi nahin hai
to apne sher kyun tujh ko sunana chahta hun
mujhe tujh se shikayat bhi hai lekin ye bhi sach hai
tujhe ai zindagi main walihana chahta hun
isi KHatir to ye sinf-e-suKHan main ne chuni hai
ki jo mahsus karta hun batana chahta hun
mere in KHushk honTon ko zara namnak kar de
main apni pyas ki shiddat chhupana chahta hun
tabhi to 'shad' palkon par saja rakkha hai un ko
main apne KHwab duniya ko dikhana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.