kisi din zindagani mein karishma kyun nahin hota
kisī din zindagānī meñ karishma kyuuñ nahīñ hotā
maiñ har din jaag to jaatā huuñ zinda kyuuñ nahīñ hotā
mirī ik zindagī ke kitne hisse-dār haiñ lekin
kisī kī zindagī meñ merā hissa kyuuñ nahīñ hotā
jahāñ meñ yuuñ to hone ko bahut kuchh hotā rahtā hai
maiñ jaisā sochtā huuñ kuchh bhī vaisā kyuuñ nahīñ hotā
hamesha tanz karte haiñ tabī.at pūchhne vaale
tum achchhā kyuuñ nahīñ karte maiñ achchhā kyuuñ nahīñ hotā
zamāne bhar ke logoñ ko kiyā hai mubtalā tū ne
jo terā ho gayā tū bhī usī kā kyuuñ nahīñ hotā
kisi din zindagani mein karishma kyun nahin hota
main har din jag to jata hun zinda kyun nahin hota
meri ek zindagi ke kitne hisse-dar hain lekin
kisi ki zindagi mein mera hissa kyun nahin hota
jahan mein yun to hone ko bahut kuchh hota rahta hai
main jaisa sochta hun kuchh bhi waisa kyun nahin hota
hamesha tanz karte hain tabiat puchhne wale
tum achchha kyun nahin karte main achchha kyun nahin hota
zamane bhar ke logon ko kiya hai mubtala tu ne
jo tera ho gaya tu bhi usi ka kyun nahin hota
- Book : Vajood (Pg. 3)
- Author : Rajesh Reddy
- Publication : Vishal Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.