kiran ek moajiza sa kar gai hai
kiran ik mo.ajiza sā kar ga.ī hai
dhanak kamre meñ mere bhar ga.ī hai
uchak kar dekhtī thī niiñd tum ko
lo ye āñkhoñ se gir kar mar ga.ī hai
ḳhamoshī chhup rahī hai ab sadā se
ye bachchī ajnabī se Dar ga.ī hai
khule milte haiñ mujh ko dar hamesha
mire hāthoñ meñ dastak bhar ga.ī hai
use kuchh ashk laane ko kahā thā
kahāñ jā kar udāsī mar ga.ī hai
ujāloñ meñ chhupī thī ek laḌkī
falak kā rañg-roġhan kar ga.ī hai
vo phir ubhregī thoḌī saañs bharne
nadī meñ lahar jo andar ga.ī hai
kiran ek moajiza sa kar gai hai
dhanak kamre mein mere bhar gai hai
uchak kar dekhti thi nind tum ko
lo ye aankhon se gir kar mar gai hai
KHamoshi chhup rahi hai ab sada se
ye bachchi ajnabi se Dar gai hai
khule milte hain mujh ko dar hamesha
mere hathon mein dastak bhar gai hai
use kuchh ashk lane ko kaha tha
kahan ja kar udasi mar gai hai
ujalon mein chhupi thi ek laDki
falak ka rang-roghan kar gai hai
wo phir ubhregi thoDi sans bharne
nadi mein lahar jo andar gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.