KHwahishon se walwalon se dur rahna chahiye
ḳhvāhishoñ se valvaloñ se duur rahnā chāhiye
jazr-o-mad meñ sāhiloñ se duur rahnā chāhiye
har kisī chehre pe ik tanhā.ī likkhī ho jahāñ
dil ko aisī mahfiloñ se duur rahnā chāhiye
varna vahshat aur sukūñ meñ farq kyā rah jā.egā
bastiyoñ ko jañgaloñ se duur rahnā chāhiye
is tarah to aur bhī dīvāngī baḌh jā.egī
pāgaloñ ko pāgaloñ se duur rahnā chāhiye
jo ġhubār-e-rāh-e-māzī meñ kahīñ gum ho ga.e
un bhaTakte qāfiloñ se duur rahnā chāhiye
kyā zarūrī hai ki apne-āp ko yakjā karo
TuuTe bikhre silsiloñ se duur rahnā chāhiye
KHwahishon se walwalon se dur rahna chahiye
jazr-o-mad mein sahilon se dur rahna chahiye
har kisi chehre pe ek tanhai likkhi ho jahan
dil ko aisi mahfilon se dur rahna chahiye
warna wahshat aur sukun mein farq kya rah jaega
bastiyon ko jangalon se dur rahna chahiye
is tarah to aur bhi diwangi baDh jaegi
pagalon ko pagalon se dur rahna chahiye
jo ghubar-e-rah-e-mazi mein kahin gum ho gae
un bhaTakte qafilon se dur rahna chahiye
kya zaruri hai ki apne-ap ko yakja karo
TuTe bikhre silsilon se dur rahna chahiye
- Book : Bechehragi (Pg. 110)
- Author : bharat bhushan pant
- Publication : Suman prakashan Alambagh,Lucknow (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.