KHwahishen itni baDhin insan aadha rah gaya
ḳhvāhisheñ itnī baḌhīñ insān aadhā rah gayā
ḳhvāb jo dekhā nahīñ vo bhī adhūrā rah gayā
maiñ to us ke saath hī ghar se nikal kar aa gayā
aur pīchhe ek dastak ek saayā rah gayā
us ko to pairāhanoñ se koī dilchaspī na thī
dukh to ye hai rafta rafta maiñ bhī nañgā rah gayā
rang tasvīroñ kā utrā to kahīñ Thahrā nahīñ
ab ke vo bārish huī har naqsh phīkā rah gayā
'umr bhar manzar-nigārī ḳhuun meñ utrī rahī
phir bhī āñkhoñ ke muqābil ek dariyā rah gayā
raunaqeñ jitnī thiiñ dahlīzoñ se bāhar aa ga.iiñ
shaam hī se ghar kā darvāza khulā kyā rah gayā
ab ke shahr-e-zindagī meñ sāneha aisā huā
maiñ sadā detā use vo mujh ko taktā rah gayā
titliyoñ ke par kitāboñ meñ kahīñ gum ho ga.e
muTThiyoñ ke aa.ine meñ ek chehra rah gayā
rail kī gaaḌī chalī to ik musāfir ne kahā
dekhnā vo koī station pe baiThā rah gayā
maiñ na kahtā thā ki ujlat is qadar achchhī nahīñ
ek paT khiḌkī kā aa kar dekh lo vā rah gayā
log apnī kirchiyāñ chun chun ke aage baḌh ga.e
maiñ magar sāmān ikaTThā kartā tanhā rah gayā
aaj tak mauj-e-havā to lauT kar aa.ī nahīñ
kyā kisī ujḌe nagar meñ diip jaltā rah gayā
uñgliyoñ ke naqsh gul-dānoñ pe aate haiñ nazar
aao dekheñ apne andar aur kyā kyā rah gayā
dhuup kī garmī se īñTeñ pak ga.iiñ phal pak ga.e
ik hamārā jism thā 'aḳhtar' jo kachchā rah gayā
KHwahishen itni baDhin insan aadha rah gaya
KHwab jo dekha nahin wo bhi adhura rah gaya
main to us ke sath hi ghar se nikal kar aa gaya
aur pichhe ek dastak ek saya rah gaya
us ko to pairahanon se koi dilchaspi na thi
dukh to ye hai rafta rafta main bhi nanga rah gaya
rang taswiron ka utra to kahin Thahra nahin
ab ke wo barish hui har naqsh phika rah gaya
'umr bhar manzar-nigari KHun mein utri rahi
phir bhi aankhon ke muqabil ek dariya rah gaya
raunaqen jitni thin dahlizon se bahar aa gain
sham hi se ghar ka darwaza khula kya rah gaya
ab ke shahr-e-zindagi mein saneha aisa hua
main sada deta use wo mujh ko takta rah gaya
titliyon ke par kitabon mein kahin gum ho gae
muTThiyon ke aaine mein ek chehra rah gaya
rail ki gaDi chali to ek musafir ne kaha
dekhna wo koi station pe baiTha rah gaya
main na kahta tha ki ujlat is qadar achchhi nahin
ek paT khiDki ka aa kar dekh lo wa rah gaya
log apni kirchiyan chun chun ke aage baDh gae
main magar saman ikaTTha karta tanha rah gaya
aaj tak mauj-e-hawa to lauT kar aai nahin
kya kisi ujDe nagar mein dip jalta rah gaya
ungliyon ke naqsh gul-danon pe aate hain nazar
aao dekhen apne andar aur kya kya rah gaya
dhup ki garmi se inTen pak gain phal pak gae
ek hamara jism tha 'aKHtar' jo kachcha rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.