KHwab mein ek makan dekha tha
ḳhvāb meñ ek makāñ dekhā thā
phir na khiḌkī thī na darvāza thā
suune raste pe sar-e-shām koī
ghar kī yādoñ meñ ghirā baiThā thā
log kahte haiñ ki mujh sā thā koī
vo jo bachchoñ kī tarah royā thā
raat thī aur koī saath na thā
chāñd bhī duur khaḌā hañstā thā
ek melā sā lagā thā dil meñ
maiñ akelā hī phirā kartā thā
aisā hañgāma na thā jangal meñ
shahr meñ aa.e to Dar lagtā thā
ġham ke dariyā meñ tirī yādoñ kā
ik jazīra sā ubhar aayā thā
kaun aayā thā makāñ meñ 'alvī'
kis ne darvāza abhī kholā thā
KHwab mein ek makan dekha tha
phir na khiDki thi na darwaza tha
sune raste pe sar-e-sham koi
ghar ki yaadon mein ghira baiTha tha
log kahte hain ki mujh sa tha koi
wo jo bachchon ki tarah roya tha
raat thi aur koi sath na tha
chand bhi dur khaDa hansta tha
ek mela sa laga tha dil mein
main akela hi phira karta tha
aisa hangama na tha jangal mein
shahr mein aae to Dar lagta tha
gham ke dariya mein teri yaadon ka
ek jazira sa ubhar aaya tha
kaun aaya tha makan mein 'alwi'
kis ne darwaza abhi khola tha
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 28)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.