KHun patton pe jama ho jaise
ḳhuun pattoñ pe jamā ho jaise
phuul kā rañg harā ho jaise
bārhā ye hameñ mahsūs huā
dard siine kā ḳhudā ho jaise
yuuñ taras khā ke na pūchho ahvāl
tiir siine pe lagā ho jaise
phuul kī aañkh meñ shabnam kyuuñ hai
sab hamārī hī ḳhatā ho jaise
kircheñ chubhtī haiñ bahut siine meñ
aa.ina TuuT gayā ho jaise
sab hameñ dekhne aate haiñ magar
niiñd āñkhoñ se ḳhafā ho jaise
ab charāġhoñ kī zarūrat bhī nahīñ
chāñd is dil meñ chhupā ho jaise
roz aatī thī huā us kī tarah
ab vo aayā to havā ho jaise
KHun patton pe jama ho jaise
phul ka rang hara ho jaise
barha ye hamein mahsus hua
dard sine ka KHuda ho jaise
yun taras kha ke na puchho ahwal
tir sine pe laga ho jaise
phul ki aankh mein shabnam kyun hai
sab hamari hi KHata ho jaise
kirchen chubhti hain bahut sine mein
aaina TuT gaya ho jaise
sab hamein dekhne aate hain magar
nind aankhon se KHafa ho jaise
ab charaghon ki zarurat bhi nahin
chand is dil mein chhupa ho jaise
roz aati thi hua us ki tarah
ab wo aaya to hawa ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.