bas gai hai rag rag mein baam-o-dar ki KHamoshi
bas ga.ī hai rag rag meñ bām-o-dar kī ḳhāmoshī
chīrtī sī jaatī hai mujh ko ghar kī ḳhāmoshī
sub.h ke ubharne se shaam ke utarne tak
kitnī jān-levā hai dopahar kī ḳhāmoshī
chal rahī thī jab mere ghar ke jalne kī taftīsh
dekhne ke qābil thī shahr bhar kī ḳhāmoshī
kaaT lī haiñ tum ne to Tahniyāñ sabhī lekin
sun sako jo kahtī hai chup shajar kī ḳhāmoshī
toḌ bhī do chuppī ko rūThne ko taj Daalo
ho ga.ī hai parbat sī baat bhar kī ḳhāmoshī
paḌ ga.ī hai aadat ab saath tere chalne kī
bin tire kaTe kaise ye safar kī ḳhāmoshī
bas gai hai rag rag mein baam-o-dar ki KHamoshi
chirti si jati hai mujh ko ghar ki KHamoshi
subh ke ubharne se sham ke utarne tak
kitni jaan-lewa hai dopahar ki KHamoshi
chal rahi thi jab mere ghar ke jalne ki taftish
dekhne ke qabil thi shahr bhar ki KHamoshi
kaT li hain tum ne to Tahniyan sabhi lekin
sun sako jo kahti hai chup shajar ki KHamoshi
toD bhi do chuppi ko ruThne ko taj Dalo
ho gai hai parbat si baat bhar ki KHamoshi
paD gai hai aadat ab sath tere chalne ki
bin tere kaTe kaise ye safar ki KHamoshi
- Book : Lafz Magazine-01 Dec-10 to 28 Feb-11
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.