KHamushi TuTegi aawaz ka patthar bhi to ho
ḳhāmushī TūTegī āvāz kā patthar bhī to ho
jis qadar shor hai andar kabhī bāhar bhī to ho
bujh chuke rāste sannāTā huā raat Dhalī
lauT kar ham bhī chale jaa.eñ magar ghar bhī to ho
buz-diloñ se maiñ koī ma.arka jītūñ bhī to kyā
koī lashkar mirī jur.at ke barābar bhī to ho
muskurānā kise achchhā nahīñ lagtā ai dost
muskurāne kā koī lamha mayassar bhī to ho
raat aa.egī na.e ḳhvāb bhī utreñge magar
niiñd aur aañkh kā rishta kabhī behtar bhī to ho
chhoḌ kar ḳhvāb kā sayyāra kahāñ jā.ūñ 'nabīl'
kurra-e-shab pe koī jāgtā manzar bhī to ho
KHamushi TuTegi aawaz ka patthar bhi to ho
jis qadar shor hai andar kabhi bahar bhi to ho
bujh chuke raste sannaTa hua raat Dhali
lauT kar hum bhi chale jaen magar ghar bhi to ho
buz-dilon se main koi marka jitun bhi to kya
koi lashkar meri jurat ke barabar bhi to ho
muskurana kise achchha nahin lagta ai dost
muskurane ka koi lamha mayassar bhi to ho
raat aaegi nae KHwab bhi utrenge magar
nind aur aankh ka rishta kabhi behtar bhi to ho
chhoD kar KHwab ka sayyara kahan jaun 'nabil'
kurra-e-shab pe koi jagta manzar bhi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.