kashtiyan Dub rahi hain koi sahil lao
kashtiyāñ Duub rahī haiñ koī sāhil laao
apnī āñkheñ mirī āñkhoñ ke muqābil laao
phuul kāġhaz ke haiñ ab kāñch ke gul-dānoñ meñ
tum bhī bāzār se patthar ke anādil laao
ek āvāz ubhartī hai pas-e-manzar-e-ḳhūñ
ai ujālo mirī tasvīr kā qātil laao
muḌ ke dekhoge to patthar se badal jāoge
ab tasavvur meñ na chhoḌī huī manzil laao
raushnī hai mirī vīrān-nigāhī kā sabab
ab na chehrā koī sūraj ke mumāsil laao
kashtiyan Dub rahi hain koi sahil lao
apni aankhen meri aankhon ke muqabil lao
phul kaghaz ke hain ab kanch ke gul-danon mein
tum bhi bazar se patthar ke anadil lao
ek aawaz ubharti hai pas-e-manzar-e-KHun
ai ujalo meri taswir ka qatil lao
muD ke dekhoge to patthar se badal jaoge
ab tasawwur mein na chhoDi hui manzil lao
raushni hai meri viran-nigahi ka sabab
ab na chehra koi suraj ke mumasil lao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.