kam-baKHt dil bura ho teri aah aah ka
kam-baḳht dil burā ho tirī aah aah kā
husn-e-nigāh bhī na rahā gaah gaah kā
chheḌo na mīThī niiñd meñ ai munkar-o-nakīr
sone do bhaa.ī maiñ thakā-māñda huuñ raah kā
mere muqallidoñ ko mirī rāh-e-shauq meñ
har gaam par nishān milā sajda-gāh kā
dil sā gavāh hashr meñ aa kar phisal gayā
ab rahm par muāmla hai dād-ḳhvāh kā
kis muñh se kah rahe ho hameñ kuchh ġharaz nahīñ
kis muñh se tum ne vā'da kiyā thā nibāh kā
dil lene vaalī baat isī dil se pochhiye
mālik yahī hai mere safed o siyāh kā
pesh-e-ḳhudā chalo to maza jab hai ai 'hafīz'
na.ara ho lab pe ashhado-an-lā-ilāh kā
kam-baKHt dil bura ho teri aah aah ka
husn-e-nigah bhi na raha gah gah ka
chheDo na miThi nind mein ai munkar-o-nakir
sone do bhai main thaka-manda hun rah ka
mere muqallidon ko meri rah-e-shauq mein
har gam par nishan mila sajda-gah ka
dil sa gawah hashr mein aa kar phisal gaya
ab rahm par muamla hai dad-KHwah ka
kis munh se kah rahe ho hamein kuchh gharaz nahin
kis munh se tum ne wa'da kiya tha nibah ka
dil lene wali baat isi dil se pochhiye
malik yahi hai mere safed o siyah ka
pesh-e-KHuda chalo to maza jab hai ai 'hafiz'
nara ho lab pe ashhado-an-la-ilah ka
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 190)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.