kali kali mein nihan hichkichahaTen pahchan
kalī kalī meñ nihāñ hichkichāhaTeñ pahchān
tū shāḳh-e-gul pe gul-e-nau kī āhaTeñ pahchān
lahū kī aañkh se paḌh mere zabt kī tahrīr
laboñ pe lafz na gin kapkapāhaTeñ pahchān
maiñ pankhuḌī kī tarah apne hoñT vā kar duuñ
tū titliyoñ kī tarah gungunāhaTeñ pahchān
mahāz khol diyā hai to gahrī niiñd na so
havā ke bhes meñ haiñ sansanāhaTeñ pahchān
ye jhūTe nag haiñ magar husn se tarāshe haiñ
tū jauharī hai agar jagmagāhaTeñ pahchān
vo kaalā saañp hai tujh ko nazar na aa.egā
tū jhāḌiyoñ meñ chhupī sarsarāhaTeñ pahchān
'nazīr' log to chehre badalte rahte haiñ
tū itnā saada na ban muskurāhaTeñ pahchān
kali kali mein nihan hichkichahaTen pahchan
tu shaKH-e-gul pe gul-e-nau ki aahaTen pahchan
lahu ki aankh se paDh mere zabt ki tahrir
labon pe lafz na gin kapkapahaTen pahchan
main pankhuDi ki tarah apne honT wa kar dun
tu titliyon ki tarah gungunahaTen pahchan
mahaz khol diya hai to gahri nind na so
hawa ke bhes mein hain sansanahaTen pahchan
ye jhuTe nag hain magar husn se tarashe hain
tu jauhari hai agar jagmagahaTen pahchan
wo kala sanp hai tujh ko nazar na aaega
tu jhaDiyon mein chhupi sarsarahaTen pahchan
'nazir' log to chehre badalte rahte hain
tu itna sada na ban muskurahaTen pahchan
- Book : Pakistani Adab (Pg. 707)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.