kaise manun ki zamane ki KHabar rakhti hai
kaise mānūñ ki zamāne kī ḳhabar rakhtī hai
gardish-e-vaqt to bas mujh pe nazar rakhtī hai
mere pairoñ kī thakan ruuTh na jaanā mujh se
ek tū hī to mirā rāz-e-safar rakhtī hai
dhuup mujh ko jo liye phirtī hai saa.e saa.e
hai to āvāra magar zehn meñ ghar rakhtī hai
dostī tere daraḳhtoñ meñ havā.eñ bhī nahīñ
dushmanī apne daraḳhtoñ meñ samar rakhtī hai
jaane kyā soch ke ro letā huuñ us vaqt 'farāz'
zindagī jab mire āġhosh meñ sar rakhtī hai
kaise manun ki zamane ki KHabar rakhti hai
gardish-e-waqt to bas mujh pe nazar rakhti hai
mere pairon ki thakan ruTh na jaana mujh se
ek tu hi to mera raaz-e-safar rakhti hai
dhup mujh ko jo liye phirti hai sae sae
hai to aawara magar zehn mein ghar rakhti hai
dosti tere daraKHton mein hawaen bhi nahin
dushmani apne daraKHton mein samar rakhti hai
jaane kya soch ke ro leta hun us waqt 'faraaz'
zindagi jab mere aaghosh mein sar rakhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.