kahani mein chhoTa sa kirdar hai
kahānī meñ chhoTā sā kirdār hai
hamārā magar ek me.aar hai
ḳhudā tujh ko sunñe kī taufīq de
mirī ḳhāmushī merā iz.hār hai
ye kaise ilāqe meñ ham aa base
gharoñ se nikalte hī bāzār hai
siyāsat ke chehre pe raunaq nahīñ
ye aurat hamesha kī bīmār hai
haqīqat kā ik shā.iba tak nahīñ
tumhārī kahānī mazedār hai
ta.alluq kī taj.hīz-o-takfīn kar
vo dāman chhuḌāne ko tayyār hai
paḌosī paḌosī se hai be-ḳhabar
magar sab ke hāthoñ meñ aḳhbār hai
ye chhuTTī kā din ham se mat chhīnnā
yahī ham ġharīboñ kā tyauhār hai
use mashvaroñ kī zarūrat nahīñ
vo tum se ziyāda samajhdār hai
kahani mein chhoTa sa kirdar hai
hamara magar ek mear hai
KHuda tujh ko sunne ki taufiq de
meri KHamushi mera izhaar hai
ye kaise ilaqe mein hum aa base
gharon se nikalte hi bazar hai
siyasat ke chehre pe raunaq nahin
ye aurat hamesha ki bimar hai
haqiqat ka ek shaiba tak nahin
tumhaari kahani mazedar hai
talluq ki tajhiz-o-takfin kar
wo daman chhuDane ko tayyar hai
paDosi paDosi se hai be-KHabar
magar sab ke hathon mein aKHbar hai
ye chhuTTi ka din hum se mat chhinna
yahi hum gharibon ka tyauhaar hai
use mashwaron ki zarurat nahin
wo tum se ziyaada samajhdar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.