kabhi ranj-o-gham kabhi nafraten mujhe tujhse kya kya mila nahin
kabhi ranj-o-gham kabhi nafraten mujhe tujhse kya kya mila nahin
Saleem Siddiqi
MORE BYSaleem Siddiqi
kabhī ranj-o-ġham kabhī nafrateñ mujhe tujh se kyā kyā milā nahīñ
mire ham-nafas mirī zindagī mujhe phir bhī koī gila nahīñ
koī jashn koī ḳhushī na thī sabhī muskurāhaTeñ qaid thiiñ
vo bahār kaisī bahār thī koī phuul jis meñ khilā nahīñ
mire dard ko jo samajh sake mirī chāhatoñ ko parakh sake
kabhī aaj tak mujhe dahr meñ koī dost aisā milā nahīñ
na to ranj-o-ġham se hī rabt hai na hī āshnā-e-ḳhushī huuñ maiñ
mirī zindagī bhī ajiib hai ise manziloñ kā patā nahīñ
ho yaqīn yāroñ pe kis tarah sabhī āstīnoñ ke saañp haiñ
ai 'salīm' daur-e-jadīd meñ kahīñ naam ko bhī vafā nahīñ
kabhi ranj-o-gham kabhi nafraten mujhe tujh se kya kya mila nahin
mere ham-nafas meri zindagi mujhe phir bhi koi gila nahin
koi jashn koi KHushi na thi sabhi muskurahaTen qaid thin
wo bahaar kaisi bahaar thi koi phul jis mein khila nahin
mere dard ko jo samajh sake meri chahaton ko parakh sake
kabhi aaj tak mujhe dahr mein koi dost aisa mila nahin
na to ranj-o-gham se hi rabt hai na hi aashna-e-KHushi hun main
meri zindagi bhi ajib hai ise manzilon ka pata nahin
ho yaqin yaron pe kis tarah sabhi aastinon ke sanp hain
ai 'salim' daur-e-jadid mein kahin nam ko bhi wafa nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.