tanhai se hai sohbat din raat judai mein
tanhā.ī se hai sohbat din raat judā.ī meñ
kyā ḳhuub guzartī hai auqāt judā.ī meñ
ruḳhsat ho chalā thā tab dāman na tirā thāmā
afsos ki malte haiñ ab haath judā.ī meñ
kyā zikr hai aañsū kā zālim mirī āñkhoñ se
ḳhūñ-nāb hī Tapke hai yak zaat judā.ī meñ
jab vasl thā un rozoñ yak dil hī pe aafat thī
ab jaan kā hai saudā haihāt judā.ī meñ
ye nāla-o-zārī ye ḳhastagī o ḳhvārī
jīdhar ko chalūñ 'joshish' haiñ saat judā.ī meñ
tanhai se hai sohbat din raat judai mein
kya KHub guzarti hai auqat judai mein
ruKHsat ho chala tha tab daman na tera thama
afsos ki malte hain ab hath judai mein
kya zikr hai aansu ka zalim meri aankhon se
KHun-nab hi Tapke hai yak zat judai mein
jab wasl tha un rozon yak dil hi pe aafat thi
ab jaan ka hai sauda haihat judai mein
ye nala-o-zari ye KHastagi o KHwari
jidhar ko chalun 'joshish' hain sat judai mein
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.