jo log dushman-e-jaan the wahi sahaare the
jo log dushman-e-jāñ the vahī sahāre the
munāfe the mohabbat meñ ne ḳhasāre the
huzūr-e-shāh bas itnā hī arz karnā hai
jo iḳhtiyār tumhāre the haq hamāre the
ye aur baat bahāreñ gurez-pā niklīñ
guloñ ke ham ne to sadqe bahut utāre the
ḳhudā kare ki tirī umr meñ gine jaa.eñ
vo din jo ham ne tire hijr meñ guzāre the
ab izn ho to tirī zulf meñ piro deñ phuul
ki āsmāñ ke sitāre to isti.āre the
qarīb aa.e to har gul thā ḳhāna-e-zambūr
'nadīm' duur ke manzar to pyāre pyāre the
jo log dushman-e-jaan the wahi sahaare the
munafe the mohabbat mein ne KHasare the
huzur-e-shah bas itna hi arz karna hai
jo iKHtiyar tumhaare the haq hamare the
ye aur baat bahaaren gurez-pa niklin
gulon ke hum ne to sadqe bahut utare the
KHuda kare ki teri umr mein gine jaen
wo din jo hum ne tere hijr mein guzare the
ab izn ho to teri zulf mein piro den phul
ki aasman ke sitare to istiare the
qarib aae to har gul tha KHana-e-zambur
'nadim' dur ke manzar to pyare pyare the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.