ji se mujhe chah hai kisi ki
jī se mujhe chaah hai kisī kī
kyā jaane koī kisī kī jī kī
shāhid rahiyo tū ai shab-e-hijr
jhapkī nahīñ aañkh 'mus.hafī' kī
rone pe mire jo tum hañso ho
ye kaun sī baat hai hañsī kī
juuñ juuñ ki banāv par vo aayā
duunī huī chaah ārasī kī
go ab vo javāñ nahīñ pa ham se
lat jaa.e hai koī āshiqī kī
chāhe to shafaq ko phūñk deve
surḳhī tire rañg-e-ātishī kī
maiñ vādi-e-ishq meñ jo aayā
majnūñ ne mirī na ham-sarī kī
khāte nahīñ ab tire nusairī
saugand bhī murtazā-alī kī
kyā reḳhta kam hai 'mus.hafī' kā
bū aatī hai is meñ fārsī kī
ji se mujhe chah hai kisi ki
kya jaane koi kisi ki ji ki
shahid rahiyo tu ai shab-e-hijr
jhapki nahin aankh 'mushafi' ki
rone pe mere jo tum hanso ho
ye kaun si baat hai hansi ki
jun jun ki banaw par wo aaya
duni hui chah aarasi ki
go ab wo jawan nahin pa hum se
lat jae hai koi aashiqi ki
chahe to shafaq ko phunk dewe
surKHi tere rang-e-atishi ki
main wadi-e-ishq mein jo aaya
majnun ne meri na ham-sari ki
khate nahin ab tere nusairi
saugand bhi murtaza-ali ki
kya reKHta kam hai 'mushafi' ka
bu aati hai is mein farsi ki
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-soom) (Pg. 254)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.