jazba-e-dil ne mere tasir dikhlai to hai
jazba-e-dil ne mire tāsīr dikhlā.ī to hai
ghuñgrūoñ kī jānib-e-dar kuchh sadā aa.ī to hai
ishq ke iz.hār meñ har-chand rusvā.ī to hai
par karūñ kyā ab tabī.at aap par aa.ī to hai
aap ke sar kī qasam mere sivā koī nahīñ
be-takalluf aa.iye kamre meñ tanhā.ī to hai
jab kahā maiñ ne taḌaptā hai bahut ab dil mirā
hans ke farmāyā taḌaptā hogā saudā.ī to hai
dekhiye hotī hai kab raahī sū-e-mulk-e-adam
ḳhāna-e-tan se hamārī ruuh ghabrā.ī to hai
dil dhaḌaktā hai mirā luuñ bosa-e-ruḳh yā na luuñ
niiñd meñ us ne dulā.ī muñh se sarkā.ī to hai
dekhiye lab tak nahīñ aatī gul-e-āriz kī yaad
sair-e-gulshan se tabī.at ham ne bahlā.ī to hai
maiñ balā meñ kyuuñ phañsūñ dīvāna ban kar us ke saath
dil ko vahshat ho to ho kambaḳht saudā.ī to hai
ḳhaak meñ dil ko milāyā jalva-e-raftār se
kyuuñ na ho ai naujavāñ ik shān-e-ra.anā.ī to hai
yuuñ muravvat se tumhāre sāmne chup ho raheñ
kal ke jalsoñ kī magar ham ne ḳhabar paa.ī to hai
bāda-e-gul-rañg kā sāġhar ināyat kar mujhe
sāqiyā tāḳhīr kyā hai ab ghaTā chhā.ī to hai
jis kī ulfat par baḌā da.avā thā kal 'akbar' tumheñ
aaj ham jā kar use dekh aa.e harjā.ī to hai
jazba-e-dil ne mere tasir dikhlai to hai
ghungruon ki jaanib-e-dar kuchh sada aai to hai
ishq ke izhaar mein har-chand ruswai to hai
par karun kya ab tabiat aap par aai to hai
aap ke sar ki qasam mere siwa koi nahin
be-takalluf aaiye kamre mein tanhai to hai
jab kaha main ne taDapta hai bahut ab dil mera
hans ke farmaya taDapta hoga saudai to hai
dekhiye hoti hai kab rahi su-e-mulk-e-adam
KHana-e-tan se hamari ruh ghabrai to hai
dil dhaDakta hai mera lun bosa-e-ruKH ya na lun
nind mein us ne dulai munh se sarkai to hai
dekhiye lab tak nahin aati gul-e-ariz ki yaad
sair-e-gulshan se tabiat hum ne bahlai to hai
main bala mein kyun phansun diwana ban kar us ke sath
dil ko wahshat ho to ho kambaKHt saudai to hai
KHak mein dil ko milaya jalwa-e-raftar se
kyun na ho ai naujawan ek shan-e-ranai to hai
yun murawwat se tumhaare samne chup ho rahen
kal ke jalson ki magar hum ne KHabar pai to hai
baada-e-gul-rang ka saghar inayat kar mujhe
saqiya taKHir kya hai ab ghaTa chhai to hai
jis ki ulfat par baDa dawa tha kal 'akbar' tumhein
aaj hum ja kar use dekh aae harjai to hai
- Book : Kulliyat-e-akbar (Pg. 147)
- Author : Sayed Akbar husain Akbar Allahabadi
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.