un se tanhai mein baat hoti rahi
un se tanhā.ī meñ baat hotī rahī
ġhā.ebāna mulāqāt hotī rahī
ham bulāte vo tashrīf laate rahe
ḳhvāb meñ ye karāmāt hotī rahī
kāsa-e-chashm labrez hotī rahī
us darīche se ḳhairāt hotī rahī
dil bhī zor-āzmā.ī se haarā nahīñ
garche har martaba maat hotī rahī
sar bachā.e rahā sabr kā sā.ebāñ
āsmāñ se to barsāt hotī rahī
go mohabbat se ham jī churāte rahe
zindagī bhar ye bad-zāt hotī rahī
shahr bhar meñ phirāyā gayā qais ko
kūche kūche mudārāt hotī rahī
jāgte aur sote rahe ham 'shu.ūr'
din nikaltā rahā raat hotī rahī
un se tanhai mein baat hoti rahi
ghaebana mulaqat hoti rahi
hum bulate wo tashrif late rahe
KHwab mein ye karamat hoti rahi
kasa-e-chashm labrez hoti rahi
us dariche se KHairaat hoti rahi
dil bhi zor-azmai se haara nahin
garche har martaba mat hoti rahi
sar bachae raha sabr ka saeban
aasman se to barsat hoti rahi
go mohabbat se hum ji churaate rahe
zindagi bhar ye bad-zat hoti rahi
shahr bhar mein phiraya gaya qais ko
kuche kuche mudaraat hoti rahi
jagte aur sote rahe hum 'shuur'
din nikalta raha raat hoti rahi
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 104)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.