jao matam guzaro jaane do
jaao mātam guzāro jaane do
jis kā ġham hai use manāne do
beach se ek dāstāñ TuuTī
aur phir ban ga.e fasāne do
ham faqīroñ ko kuchh to do sāhab
kuchh nahīñ de sako to ta.ane do
haath jis ko lagā nahīñ saktā
us ko āvāz to lagāne do
tum diyā ho to un patañgoñ ko
kam se kam raushnī meñ aane do
jao matam guzaro jaane do
jis ka gham hai use manane do
beach se ek dastan TuTi
aur phir ban gae fasane do
hum faqiron ko kuchh to do sahab
kuchh nahin de sako to tane do
hath jis ko laga nahin sakta
us ko aawaz to lagane do
tum diya ho to un patangon ko
kam se kam raushni mein aane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.