ishq ko kashf kiya husn ka qail hua main
ishq ko kashf kiyā husn kā qaa.il huā maiñ
aur phir apne liye kalma-e-bātil huā maiñ
raas aatī nahīñ ab mere lahū ko koī ḳhaak
aisā is jism kā pāband-e-salāsil huā maiñ
saare asrār-e-fanā khulte rahe sub.h talak
raat ā.īna-e-hastī ke muqābil huā maiñ
aur phir merī ḳhamoshī meñ bhañvar paḌne lage
dam-e-ruḳhsat tirī āvāz kā sāhil huā maiñ
sahl kartā rahā jitnā bhī mujhe merā adam
kār-e-hastī kī tarah utnā hī mushkil huā maiñ
ishq ko kashf kiya husn ka qail hua main
aur phir apne liye kalma-e-baatil hua main
ras aati nahin ab mere lahu ko koi KHak
aisa is jism ka paband-e-salasil hua main
sare asrar-e-fana khulte rahe subh talak
raat aaina-e-hasti ke muqabil hua main
aur phir meri KHamoshi mein bhanwar paDne lage
dam-e-ruKHsat teri aawaz ka sahil hua main
sahl karta raha jitna bhi mujhe mera adam
kar-e-hasti ki tarah utna hi mushkil hua main
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 68)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 669)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.