ishq karo to ye bhi socho arz-e-sawal se pahle
ishq karo to ye bhī socho arz-e-savāl se pahle
hijr kī puurī raat aatī hai sub.h-e-visāl se pahle
dil kā kyā hai dil ne kitne manzar dekhe lekin
āñkheñ pāgal ho jaatī haiñ ek ḳhayāl se pahle
kis ne ret uḌaa.ī shab meñ āñkheñ khol ke rakkhīñ
koī misāl to honā us kī misāl se pahle
kār-e-mohabbat ek safar hai is meñ aa jaatā hai
ek zavāl-āsār sā rasta bāb-e-kamāl se pahle
ishq meñ resham jaise vādoñ aur ḳhvāboñ kā rasta
jitnā mumkin ho tai kar leñ gard-e-malāl se pahle
ishq karo to ye bhi socho arz-e-sawal se pahle
hijr ki puri raat aati hai subh-e-visal se pahle
dil ka kya hai dil ne kitne manzar dekhe lekin
aankhen pagal ho jati hain ek KHayal se pahle
kis ne ret uDai shab mein aankhen khol ke rakkhin
koi misal to hona us ki misal se pahle
kar-e-mohabbat ek safar hai is mein aa jata hai
ek zawal-asar sa rasta bab-e-kamal se pahle
ishq mein resham jaise wadon aur KHwabon ka rasta
jitna mumkin ho tai kar len gard-e-malal se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.