is raste mein jab koi saya na paega
is rāste meñ jab koī saaya na pā.egā
ye āḳhirī daraḳht bahut yaad aa.egā
bichhḌe huoñ kī yaad to aa.egī jīte-jī
mausam rafāqatoñ kā palaT kar na aa.egā
taḳhlīq aur shikast kā dekheñge log fan
dariyā habāb sat.h pe jab tak bānegā
har har qadam pe ā.ina-bardār hai nazar
be-chehragī ko koī kahāñ tak chhupā.egā
merī sadā kā qad hai fazā se bhī kuchh buland
zālim fasīl-e-shahr kahāñ tak uThā.egā
tārīf kar rahā hai abhī tak jo aadmī
uTThā to mere aib hazāroñ ginā.egā
is raste mein jab koi saya na paega
ye aaKHiri daraKHt bahut yaad aaega
bichhDe huon ki yaad to aaegi jite-ji
mausam rafaqaton ka palaT kar na aaega
taKHliq aur shikast ka dekhenge log fan
dariya habab sath pe jab tak banega
har har qadam pe aaina-bardar hai nazar
be-chehragi ko koi kahan tak chhupaega
meri sada ka qad hai faza se bhi kuchh buland
zalim fasil-e-shahr kahan tak uThaega
tarif kar raha hai abhi tak jo aadmi
uTTha to mere aib hazaron ginaega
- Book : jhunka na-e-mausam kaa (Pg. 107)
- Author : azhar inaayatii
- Publication : islamic wonders bureau (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.