is girya-e-paiham ki aziyyat se bacha de
is girya-e-paiham kī aziyyat se bachā de
āvāz-e-jaras ab ke baras mujh ko hañsā de
yā abr-e-karam ban ke baras ḳhushk zamīñ par
yā pyaas ke sahrā meñ mujhe jiinā sikhā de
maiñ bhī tirī ḳhushbū huuñ mirī samt bhī tū dekh
mohlat tujhe gar silsila-e-mauj-e-sabā de
sūraj ne mujhe barf kyā hai to tujhe kyā
kyā tujh ko agar barf mujhe aag lagā de
aisā bhī nahīñ hai ki faqat ḳhāk-nashīñ huuñ
aa jaa.e havā aa ke mirī ḳhaak uḌā de
ḳhushbū kī tarah dar-badarī ḳhū ho mirī gar
hai shak to mujhe merī nigāhoñ meñ girā de
kāñTe kī jarāhat se bhī mar jaate haiñ kuchh log
rakh hausla itnī bhī na ab ḳhud ko sazā de
yā rab tirī rahmat kā talabgār hai ye bhī
thoḌī sī mire shahr ko bhī āb-o-havā de
kyā terā bigaḌtā hai agar chāñdnī shab tū
ik baar mujhe phir merī āvāz sunā de
is girya-e-paiham ki aziyyat se bacha de
aawaz-e-jaras ab ke baras mujh ko hansa de
ya abr-e-karam ban ke baras KHushk zamin par
ya pyas ke sahra mein mujhe jina sikha de
main bhi teri KHushbu hun meri samt bhi tu dekh
mohlat tujhe gar silsila-e-mauj-e-saba de
suraj ne mujhe barf kya hai to tujhe kya
kya tujh ko agar barf mujhe aag laga de
aisa bhi nahin hai ki faqat KHak-nashin hun
aa jae hawa aa ke meri KHak uDa de
KHushbu ki tarah dar-badari KHu ho meri gar
hai shak to mujhe meri nigahon mein gira de
kanTe ki jarahat se bhi mar jate hain kuchh log
rakh hausla itni bhi na ab KHud ko saza de
ya rab teri rahmat ka talabgar hai ye bhi
thoDi si mere shahr ko bhi aab-o-hawa de
kya tera bigaDta hai agar chandni shab tu
ek bar mujhe phir meri aawaz suna de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.