is dasht-e-suKHan mein koi kya phul khilae
is dasht-e-suḳhan meñ koī kyā phuul khilā.e
chamkī jo zarā dhuup to jalne lage saa.e
sūraj ke ujāle meñ charāġhāñ nahīñ mumkin
sūraj ko bujhā do ki zamīñ jashn manā.e
mahtāb kā partav bhī sitāroñ pe girāñ hai
baiThe haiñ shab-e-tār se ummīd lagā.e
har mauj-e-havā sham.a ke dar pai hai azal se
dil se kaho lau apnī zarā aur baḌhā.e
kis kūcha-e-tiflāñ meñ chale aa.e ho 'shā.ir'
āvāza kase hai to koī sañg uThā.e
is dasht-e-suKHan mein koi kya phul khilae
chamki jo zara dhup to jalne lage sae
suraj ke ujale mein charaghan nahin mumkin
suraj ko bujha do ki zamin jashn manae
mahtab ka partaw bhi sitaron pe giran hai
baiThe hain shab-e-tar se ummid lagae
har mauj-e-hawa shama ke dar pai hai azal se
dil se kaho lau apni zara aur baDhae
kis kucha-e-tiflan mein chale aae ho 'shair'
aawaza kase hai to koi sang uThae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.