de rahe hain jis ko topon ki salami aadmi
de rahe haiñ jis ko topoñ kī salāmī aadmī
kyā kahūñ tum se ki hai kitnā harāmī aadmī
bhiiḌ chhaT jā.egī tab us kī samajh meñ aa.egā
ek akelā aadmī hai azdahāmī aadmī
kyā dikhāte ho miyāñ, parcha hameñ aḳhbār kā
ham ne dekhe haiñ bahut naamī girāmī aadmī
paañv meñ juutā nahīñ hai, peT meñ roTī nahīñ
le ke kyā chāTegā ḳhālī nek-nāmī aadmī
uTh ke jā baiThā vahī ashrāfiya kī god meñ
ham ġharīboñ ne jise samjhā avāmī aadmī
qais sāhab kis liye bhaTkeñge najd-e-shauq meñ
mil hī jā.egā koī ham sā maqāmī aadmī
dil ki hai shīrāza-e-hastī havā kī zad pe hai
aadmī ai aadmī ai intizāmī aadmī
de rahe hain jis ko topon ki salami aadmi
kya kahun tum se ki hai kitna harami aadmi
bhiD chhaT jaegi tab us ki samajh mein aaega
ek akela aadmi hai azdahami aadmi
kya dikhate ho miyan, parcha hamein aKHbar ka
hum ne dekhe hain bahut nami girami aadmi
panw mein juta nahin hai, peT mein roTi nahin
le ke kya chaTega KHali nek-nami aadmi
uTh ke ja baiTha wahi ashrafiya ki god mein
hum gharibon ne jise samjha awami aadmi
qais sahab kis liye bhaTkenge najd-e-shauq mein
mil hi jaega koi hum sa maqami aadmi
dil ki hai shiraaza-e-hasti hawa ki zad pe hai
aadmi ai aadmi ai intizami aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.