inqalab ek KHwab hai so hai
inqalāb ek ḳhvāb hai so hai
dil kī duniyā ḳharāb hai so hai
rahiyo to yūñhī mahv-e-ārā.ish
bāhar ik iztirāb hai so hai
tar hai dasht us ke aks-e-manzar se
aur ḳhud vo sarāb hai so hai
jo bhī dasht-e-talab kā hai pas-e-rū
vahī zarrīñ-rikāb hai so hai
shaiḳh sāhab liye phireñ teġhā
barhaman fat.h-yāb hai sau hai
dahr āshob hai savāloñ kā
aur ḳhudā lā-javāb hai so hai
is shab-e-tīra-e-hamesha meñ
raushnī ek ḳhvāb hai so hai
inqalab ek KHwab hai so hai
dil ki duniya KHarab hai so hai
rahiyo to yunhi mahw-e-araish
bahar ek iztirab hai so hai
tar hai dasht us ke aks-e-manzar se
aur KHud wo sarab hai so hai
jo bhi dasht-e-talab ka hai pas-e-ru
wahi zarrin-rikab hai so hai
shaiKH sahab liye phiren tegha
barhaman fath-yab hai sau hai
dahr aashob hai sawalon ka
aur KHuda la-jawab hai so hai
is shab-e-tira-e-hamesha mein
raushni ek KHwab hai so hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.