sar-e-rah ab na yun mujhko pukaro tum hi aa jao
sar-e-rah ab na yuuñ mujh ko pukāro tum hī aa jaao
zarā zahmat to hogī rāz-dāro tum hī aa jaao
kahīñ aisā na ho dam toḌ deñ hasrat se dīvāne
qafas tak un se milne ko bahāro tum hī aa jaao
bharosā kyā safīne kā ka.ī tūfān haa.il haiñ
hamārī nā-ḳhudā.ī ko kināro tum hī aa jaao
abhī tak vo nahīñ aa.e yaqīnan raat baaqī hai
hamārī ġham-gusārī ko sitāro tum hī aa jaao
'shakeb'-e-ġham-zada ko dard se hai ab kahāñ fursat
agar kuchh vaqt mil jaa.e to pyāro tum hī aa jaao
sar-e-rah ab na yun mujh ko pukaro tum hi aa jao
zara zahmat to hogi raaz-daro tum hi aa jao
kahin aisa na ho dam toD den hasrat se diwane
qafas tak un se milne ko bahaaro tum hi aa jao
bharosa kya safine ka kai tufan hail hain
hamari na-KHudai ko kinaro tum hi aa jao
abhi tak wo nahin aae yaqinan raat baqi hai
hamari gham-gusari ko sitaro tum hi aa jao
'shakeb'-e-gham-zada ko dard se hai ab kahan fursat
agar kuchh waqt mil jae to pyaro tum hi aa jao
- Book : Kulliyat Shakeb Jamali (Pg. 436)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.