ek teri yaad ke sahaare par
ik tirī yaad ke sahāre par
zindagī kaT ga.ī kināre par
kaun raste badal rahā hai vahāñ
kaun rahtā hai is sitāre par
raushnī kī agar alāmat hai
raakh uḌtī hai kyuuñ sharāre par
imtihāñ kī ḳhabar nahīñ lekin
ro rahā huuñ abhī ḳhasāre par
jab nazar ko nazar nahīñ aayā
zindagī ruk ga.ī nazāre par
mere isrār par nahīñ aayā
jis ko isrār thā ishāre par
ḳhud-numā.ī kā jaal thā 'sāhil'
maiñ ne bhī fikr ke sañvāre par
ek teri yaad ke sahaare par
zindagi kaT gai kinare par
kaun raste badal raha hai wahan
kaun rahta hai is sitare par
raushni ki agar alamat hai
rakh uDti hai kyun sharare par
imtihan ki KHabar nahin lekin
ro raha hun abhi KHasare par
jab nazar ko nazar nahin aaya
zindagi ruk gai nazare par
mere israr par nahin aaya
jis ko israr tha ishaare par
KHud-numai ka jal tha 'sahil'
main ne bhi fikr ke sanware par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.