phul bikhraati har ek mauj-e-hawa aati hai
phuul bikhrātī har ik mauj-e-havā aatī hai
aap aate haiñ ki gulshan meñ sabā aatī hai
aap ke ruḳh se barastā hai sahar kā joban
aap kī zulf ke saa.e meñ ghaTā aatī hai
aap ke haath jo chhū jaa.eñ kisī Daalī se
gul hī kyā ḳhaar se bhī bū-e-hinā aatī hai
aap lahrā ke na yuuñ dūdhiyā āñchal ko chaleñ
muskurāte hue phūloñ ko hayā aatī hai
aap ko kyuuñ na tarāshā gayā mere dil se
sañg-e-marmar se hamesha ye sadā aatī hai
phul bikhraati har ek mauj-e-hawa aati hai
aap aate hain ki gulshan mein saba aati hai
aap ke ruKH se barasta hai sahar ka joban
aap ki zulf ke sae mein ghaTa aati hai
aap ke hath jo chhu jaen kisi Dali se
gul hi kya KHar se bhi bu-e-hina aati hai
aap lahra ke na yun dudhiya aanchal ko chalen
muskuraate hue phulon ko haya aati hai
aap ko kyun na tarasha gaya mere dil se
sang-e-marmar se hamesha ye sada aati hai
- Book : Mauje Aariz (Pg. 81)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.