har KHwab kali raat ke sanche mein Dhaal kar
har ḳhvāb kaalī raat ke sāñche meñ Dhaal kar
ye kaun chhup gayā hai sitāre uchhāl kar
aaise Dare hue haiñ zamāne kī chaal se
ghar meñ bhī paañv rakhte haiñ ham to sambhāl kar
ḳhāna-ḳharābiyoñ meñ tirā bhī pata nahīñ
tujh ko bhī kyā milā hameñ ghar se nikāl kar
jhulsā gayā hai kāġhzī chehroñ kī dāstāñ
jaltī huī ḳhamoshiyāñ lafzoñ meñ Dhaal kar
ye phuul ḳhud hī suukh kar ā.eñge ḳhaak par
tū apne haath se na inheñ pā.emāl kar
har KHwab kali raat ke sanche mein Dhaal kar
ye kaun chhup gaya hai sitare uchhaal kar
aaise Dare hue hain zamane ki chaal se
ghar mein bhi panw rakhte hain hum to sambhaal kar
KHana-KHarabiyon mein tera bhi pata nahin
tujh ko bhi kya mila hamein ghar se nikal kar
jhulsa gaya hai kaghzi chehron ki dastan
jalti hui KHamoshiyan lafzon mein Dhaal kar
ye phul KHud hi sukh kar aaenge KHak par
tu apne hath se na inhen paemal kar
- Book : Hashr ki subh darakhshaz ho (Pg. 276)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.