har habs ke mausam mein guzar maine kiya hai
har habs ke mausam meñ guzar maiñ ne kiyā hai
āñdhī meñ diyā le ke safar maiñ ne kiyā hai
Daalā kahāñ hathiyār kabhī merī anā ne
har jang meñ is ko hī sipar maiñ ne kiyā hai
ik aisā safar bhī thā mirī raah meñ aaya
be-manzil-o-maqsad thā magar maiñ ne kiyā hai
ehsās ke jazbāt kī kaliyoñ se sajā kar
patthar ko dar-o-bām ko ghar maiñ ne kiyā hai
us peḌ ke har phal meñ mirā haq zarā rakhnā
jis nanhe se paude ko shajar maiñ ne kiyā hai
ashkoñ ke diye maiñ ne sar-e-shām jalā ke
har ik shab-e-hijrāñ ko sahar maiñ ne kiyā hai
har habs ke mausam mein guzar main ne kiya hai
aandhi mein diya le ke safar main ne kiya hai
Dala kahan hathiyar kabhi meri ana ne
har jang mein is ko hi sipar main ne kiya hai
ek aisa safar bhi tha meri rah mein aaya
be-manzil-o-maqsad tha magar main ne kiya hai
ehsas ke jazbaat ki kaliyon se saja kar
patthar ko dar-o-baam ko ghar main ne kiya hai
us peD ke har phal mein mera haq zara rakhna
jis nanhe se paude ko shajar main ne kiya hai
ashkon ke diye main ne sar-e-sham jala ke
har ek shab-e-hijran ko sahar main ne kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.