har ek lamha tabiat pe bar hai, kya hai
har ek lamha tabī.at pe baar hai, kyā hai
tumhārā ġham ki ġham-e-rozgār hai, kyā hai
vo ham pe aaj bahut jalva-bār hai kyā hai
ab is adā meñ adāvat hai, pyaar hai, kyā hai
sitam to ye hai ki is ahd-e-jabr meñ bhī yahāñ
malūl hai na koī be-qarār hai, kyā hai
hazār rañg-ba-dāmāñ sahī magar duniyā
bas ek silsila-e-etibār hai, kyā hai
fazā chaman kī hai aisī ki kuchh nahīñ khultā
ḳhizāñ kī rut hai ki fasl-e-bahār hai, kyā hai
sunā hai raat to kab kī guzar ga.ī lekin
hameñ sahar kā abhī intizār hai, kyā hai
chaman hamārā hai lekin chaman hamārā nahīñ
na bebasī na koī iḳhtiyār hai, kyā hai
batā.e jaate haiñ unvāñ na.e na.e 'nik.hat'
magar tamāsha vahī vahī baar baar hai, kyā hai
har ek lamha tabiat pe bar hai, kya hai
tumhaara gham ki gham-e-rozgar hai, kya hai
wo hum pe aaj bahut jalwa-bar hai kya hai
ab is ada mein adawat hai, pyar hai, kya hai
sitam to ye hai ki is ahd-e-jabr mein bhi yahan
malul hai na koi be-qarar hai, kya hai
hazar rang-ba-daman sahi magar duniya
bas ek silsila-e-etibar hai, kya hai
faza chaman ki hai aisi ki kuchh nahin khulta
KHizan ki rut hai ki fasl-e-bahaar hai, kya hai
suna hai raat to kab ki guzar gai lekin
hamein sahar ka abhi intizar hai, kya hai
chaman hamara hai lekin chaman hamara nahin
na bebasi na koi iKHtiyar hai, kya hai
batae jate hain unwan nae nae 'nikhat'
magar tamasha wahi wahi bar bar hai, kya hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 307)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.