har-chand jagte hain pa soe hue se hain
har-chand jāgte haiñ pa so.e hue se haiñ
sab apne apne ḳhvāboñ meñ kho.e hue se haiñ
maiñ shaam ke hisār meñ jakḌā huā sā huuñ
manzar mire lahū meñ Dubo.e hue se haiñ
mahsūs ho rahā hai ye phūloñ ko dekh kar
jaise tamām raat ke ro.e hue se haiñ
ik Dor hī hai din kī mahīnoñ kī saal kī
is meñ kahīñ pe ham bhī piro.e hue se haiñ
'alvī' ye mo.ajiza hai december kī dhuup kā
saare makān shahr ke dho.e hue se haiñ
har-chand jagte hain pa soe hue se hain
sab apne apne KHwabon mein khoe hue se hain
main sham ke hisar mein jakDa hua sa hun
manzar mere lahu mein Duboe hue se hain
mahsus ho raha hai ye phulon ko dekh kar
jaise tamam raat ke roe hue se hain
ek Dor hi hai din ki mahinon ki sal ki
is mein kahin pe hum bhi piroe hue se hain
'alwi' ye moajiza hai december ki dhup ka
sare makan shahr ke dhoe hue se hain
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 84)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.