hum jo mast-e-sharab hote hain
ham jo mast-e-sharāb hote haiñ
zarre se āftāb hote haiñ
hai ḳharābāt sohbat-e-vā.iz
log nāhaq ḳharāb hote haiñ
kyā kaheñ kaise roz o shab ham se
amal-e-nā-savāb hote haiñ
bādshah haiñ gadā, gadā sultān
kuchh na.e inqalāb hote haiñ
ham jo karte haiñ mai-kade meñ duā
ahl-e-masjid ko ḳhvāb hote haiñ
vahī rah jaate haiñ zabānoñ par
sher jo intiḳhāb hote haiñ
kahte haiñ mast rind-e-saudā.ī
ḳhuub ham ko ḳhitāb hote haiñ
āñsuoñ se 'amīr' haiñ rusvā
aise laḌke azaab hote haiñ
hum jo mast-e-sharab hote hain
zarre se aaftab hote hain
hai KHarabaat sohbat-e-waiz
log nahaq KHarab hote hain
kya kahen kaise roz o shab hum se
amal-e-na-sawab hote hain
baadshah hain gada, gada sultan
kuchh nae inqalab hote hain
hum jo karte hain mai-kade mein dua
ahl-e-masjid ko KHwab hote hain
wahi rah jate hain zabanon par
sher jo intiKHab hote hain
kahte hain mast rind-e-saudai
KHub hum ko KHitab hote hain
aansuon se 'amir' hain ruswa
aise laDke azab hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.