hum donon mein koi na apne qaul-o-qasam ka sachcha tha
ham donoñ meñ koī na apne qaul-o-qasam kā sachchā thā
aapas meñ bas ek purānā TūTā-phūTā rishta thā
dil kī dīvāroñ pe ham ne aaj bhī sīlan dekhī hai
jaane kab āñkheñ roī thiiñ jaane kab bādal barsā thā
ḳhvāb-nagar tak aate aate TuuT ga.e ham jaise log
ūñchī nīchī raah bahut thī saarā rasta kachchā thā
puurā bādal puurī bārish mausam puure zor pe thā
sab ke saroñ pe chhat rakkhī thī maiñ hī akelā bhīgā thā
apnī zaat ke saare ḳhufiya raste us par khol diye
jaane kis aalam meñ us ne haal hamārā pūchhā thā
us kā milnā dhūl-bhare mausam meñ būñdoñ jaisā thā
sabza ban kar phuuT rahā hai jo bhī andar sūkhā thā
us kī yaad ke saare mīThe phal totoñ ne katar liye
yuuñ to ham ne chāroñ kone shor machā.e rakkhā thā
hum donon mein koi na apne qaul-o-qasam ka sachcha tha
aapas mein bas ek purana TuTa-phuTa rishta tha
dil ki diwaron pe hum ne aaj bhi silan dekhi hai
jaane kab aankhen roi thin jaane kab baadal barsa tha
KHwab-nagar tak aate aate TuT gae hum jaise log
unchi nichi rah bahut thi sara rasta kachcha tha
pura baadal puri barish mausam pure zor pe tha
sab ke saron pe chhat rakkhi thi main hi akela bhiga tha
apni zat ke sare KHufiya raste us par khol diye
jaane kis aalam mein us ne haal hamara puchha tha
us ka milna dhul-bhare mausam mein bundon jaisa tha
sabza ban kar phuT raha hai jo bhi andar sukha tha
us ki yaad ke sare miThe phal toton ne katar liye
yun to hum ne chaaron kone shor machae rakkha tha
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 295)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.