hum aagahi ko rote hain aur aagahi hamein
ham āgahī ko rote haiñ aur āgahī hameñ
vāraftagi-e-shauq kahāñ le chalī hameñ
letī ga.ī thī ham se sabā zauq-e-dilbarī
detī ga.ī thī lazzat-e-be-rah-ravī hameñ
un ke ġhurūr-o-ġhamza-o-nāz-o-adā kī ḳhair
raas aa chalī thī rasm-o-rah-e-āshiqī hameñ
ham zarra zarra DhūñD chuke mauja-e-sarāb
aur qatra qatra DhūñD chukī tishnagī hameñ
aa.ī thī chand gaam usī bevafā ke saath
phir umr bhar ko bhuul ga.ī zindagī hameñ
hum aagahi ko rote hain aur aagahi hamein
waraftagi-e-shauq kahan le chali hamein
leti gai thi hum se saba zauq-e-dilbari
deti gai thi lazzat-e-be-rah-rawi hamein
un ke ghurur-o-ghamza-o-naz-o-ada ki KHair
ras aa chali thi rasm-o-rah-e-ashiqi hamein
hum zarra zarra DhunD chuke mauja-e-sarab
aur qatra qatra DhunD chuki tishnagi hamein
aai thi chand gam usi bewafa ke sath
phir umr bhar ko bhul gai zindagi hamein
- Book : Awaz Na Do (Pg. 41)
- Author : Javed Kamal
- Publication : Sky Lark Publishers, Aligarah (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.