haalat se KHauf kha raha hun
hālāt se ḳhauf khā rahā huuñ
shīshe ke mahal banā rahā huuñ
siine meñ mire hai mom kā dil
sūraj se badan chhupā rahā huuñ
mahrūm-e-nazar hai jo zamāna
ā.īna use dikhā rahā huuñ
ahbāb ko de rahā huuñ dhokā
chehre pe ḳhushī sajā rahā huuñ
dariyā-e-furāt hai ye duniyā
pyāsā hī palaT ke jā rahā huuñ
hai shahr meñ qaht pattharoñ kā
jazbāt ke zaḳhm khā rahā huuñ
mumkin hai javāb de udāsī
dar apnā hī khaTkhaTā rahā huuñ
aayā na 'qatīl' dost koī
sāyoñ ko gale lagā rahā huuñ
haalat se KHauf kha raha hun
shishe ke mahal bana raha hun
sine mein mere hai mom ka dil
suraj se badan chhupa raha hun
mahrum-e-nazar hai jo zamana
aaina use dikha raha hun
ahbab ko de raha hun dhoka
chehre pe KHushi saja raha hun
dariya-e-furaat hai ye duniya
pyasa hi palaT ke ja raha hun
hai shahr mein qaht pattharon ka
jazbaat ke zaKHm kha raha hun
mumkin hai jawab de udasi
dar apna hi khaTkhaTa raha hun
aaya na 'qatil' dost koi
sayon ko gale laga raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.