go jam mera zahr se labrez bahut hai
go jaam mirā zahr se labrez bahut hai
kyā jāniye kyuuñ piine se parhez bahut hai
show-case meñ rakkhā huā aurat kā jo but hai
gūñgā hī sahī phir bhī dil-āvez bahut hai
ash'ār ke phūloñ se ladī shāḳh-e-tamannā
miTTī mire ehsās kī zarḳhez bahut hai
khul jaatā hai tanhā.ī meñ malbūs kī mānind
vo rashk-e-gul-e-tar ki kam-āmez bahut hai
mausam kā taqāza hai ki lazzat kā badan chuum
ḳhvāhish ke daraḳhtoñ meñ havā tez bahut hai
āñkhoñ meñ liye phirtā hai ḳhvāboñ ke jazīre
vo shā.ir-e-āshufta jo shab-ḳhez bahut hai
go jam mera zahr se labrez bahut hai
kya jaaniye kyun pine se parhez bahut hai
show-case mein rakkha hua aurat ka jo but hai
gunga hi sahi phir bhi dil-awez bahut hai
ash'ar ke phulon se ladi shaKH-e-tamanna
miTTi mere ehsas ki zarKHez bahut hai
khul jata hai tanhai mein malbus ki manind
wo rashk-e-gul-e-tar ki kam-amez bahut hai
mausam ka taqaza hai ki lazzat ka badan chum
KHwahish ke daraKHton mein hawa tez bahut hai
aankhon mein liye phirta hai KHwabon ke jazire
wo shair-e-ashufta jo shab-KHez bahut hai
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 402)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.