ghar se hum ghar talak gae honge
ghar se ham ghar talak ga.e hoñge
apne hī aap tak ga.e hoñge
ham jo ab aadmī haiñ pahle kabhī
jaam hoñge chhalak ga.e hoñge
vo bhī ab ham se thak gayā hogā
ham bhī ab us se thak ga.e hoñge
shab jo ham se huā muaaf karo
nahīñ pī thī bahak ga.e hoñge
kitne hī log hirs-e-shohrat meñ
daar par ḳhud laTak ga.e hoñge
shukr hai is nigāh-e-kam kā miyāñ
pahle hī ham khaTak ga.e hoñge
ham to apnī talāsh meñ aksar
az samā-tā-samak ga.e hoñge
us kā lashkar jahāñ-tahāñ ya.anī
ham bhī bas be-kumak ga.e hoñge
'jaun' allāh aur ye aalam
biich meñ ham aTak ga.e hoñge
ghar se hum ghar talak gae honge
apne hi aap tak gae honge
hum jo ab aadmi hain pahle kabhi
jam honge chhalak gae honge
wo bhi ab hum se thak gaya hoga
hum bhi ab us se thak gae honge
shab jo hum se hua muaf karo
nahin pi thi bahak gae honge
kitne hi log hirs-e-shohrat mein
dar par KHud laTak gae honge
shukr hai is nigah-e-kam ka miyan
pahle hi hum khaTak gae honge
hum to apni talash mein aksar
az sama-ta-samak gae honge
us ka lashkar jahan-tahan yani
hum bhi bas be-kumak gae honge
'jaun' allah aur ye aalam
bich mein hum aTak gae honge
- Book : gumaan (Pg. 179)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.