mujhe KHwab-e-sarab-e-azab diye meri ruh ka naghma chhin liya
mujhe ḳhvāb-e-sarāb-e-azāb diye mirī ruuh kā naġhma chhīn liyā
āshob-e-malāl ishrat-e-jāñ 'vijdān' se kyā kyā chhīn liyā
ik ranj-e-safar kī dhuul mire chehre pe gard-e-malāl huī
ik kaif jo sañgī sāthī thā us kaif kā saaya chhīn liyā
mire haath bhī zaḳhm-e-dil kī tarah maiñ TuuT gayā sāhil kī tarah
ai dard-e-ġham-e-hijrāñ tū ne kyā mujh ko diyā kyā chhīn liyā
in rañgoñ meñ mirā rañg bhī thā in bātoñ meñ mirī baat bhī thī
mirā rañg miTā mirī baat kaTī kis ne mirā rasta chhīn liyā
ai shahr-e-alam mirī baat to sun tū ḳhvāb mire vāpas kar de
maiñ terā karam lauTā dūñgā tū ne mirā chehra chhīn liyā
maiñ nauhagarī tak bhuul gayā mire log jale mire shahr luTe
is shahr-e-ma.īshat ne mujh se ehsās kā dariyā chhīn liyā
ye sūd-o-ziyāñ kī bāteñ haiñ in bātoñ meñ kyā rakkhā hai
ik ḳhvāb-e-tamannā de ke mujhe ik ḳhvāb-e-tamannā chhīn liyā
mujhe KHwab-e-sarab-e-azab diye meri ruh ka naghma chhin liya
aashob-e-malal ishrat-e-jaan 'wijdan' se kya kya chhin liya
ek ranj-e-safar ki dhul mere chehre pe gard-e-malal hui
ek kaif jo sangi sathi tha us kaif ka saya chhin liya
mere hath bhi zaKHm-e-dil ki tarah main TuT gaya sahil ki tarah
ai dard-e-gham-e-hijran tu ne kya mujh ko diya kya chhin liya
in rangon mein mera rang bhi tha in baaton mein meri baat bhi thi
mera rang miTa meri baat kaTi kis ne mera rasta chhin liya
ai shahr-e-alam meri baat to sun tu KHwab mere wapas kar de
main tera karam lauTa dunga tu ne mera chehra chhin liya
main nauhagari tak bhul gaya mere log jale mere shahr luTe
is shahr-e-maishat ne mujh se ehsas ka dariya chhin liya
ye sud-o-ziyan ki baaten hain in baaton mein kya rakkha hai
ek KHwab-e-tamanna de ke mujhe ek KHwab-e-tamanna chhin liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.