bichhaDne wale ka kyunkar na gham kiya jae
bichhaḌne vaale kā kyūñkar na ġham kiyā jaa.e
ye bojh aisā nahīñ hai ki kam kiyā jaa.e
ab intizār kareñ kyā kisī mūarriḳh kā
chalo ye vāqi.a ḳhud hī raqam kiyā jaa.e
maiñ ek baar nahīñ baar baar hañstā huuñ
kisī tarah to udāsī ko kam kiyā jaa.e
koī sabīl nahīñ pyaas ko bujhāne kī
sivā.e is ke ki āñkhoñ ko nam kiyā jaa.e
ye ḳhud se milne milāne kī ek sūrat hai
ki rābta zarā duniyā se kam kiyā jaa.e
vo aur hoñge jo insāf chāhte haiñ tirā
gunāhgār huuñ mujh par karam kiyā jaa.e
bichhaDne wale ka kyunkar na gham kiya jae
ye bojh aisa nahin hai ki kam kiya jae
ab intizar karen kya kisi muarriKH ka
chalo ye waqia KHud hi raqam kiya jae
main ek bar nahin bar bar hansta hun
kisi tarah to udasi ko kam kiya jae
koi sabil nahin pyas ko bujhane ki
siwae is ke ki aankhon ko nam kiya jae
ye KHud se milne milane ki ek surat hai
ki rabta zara duniya se kam kiya jae
wo aur honge jo insaf chahte hain tera
gunahgar hun mujh par karam kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.