zist ki garmi-e-bedar bhi laya suraj
ziist kī garmī-e-bedār bhī laayā sūraj
khul ga.ī aañkh mirī sar pe jo aayā sūraj
phir shu'ā'oñ ne mire jism pe dastak dī hai
phir jagāne mire ehsās ko aayā sūraj
kisī dulhan ke jhamakte hue jhūmar kī tarah
raat ne sub.h ke māthe pe sajāyā sūraj
shaam ko ruuTh gayā thā mujhe taḌpāne ko
sub.h-dam aap mujhe DhūñDne aayā sūraj
kam na thā us kā ye ehsān ki jaate jaate
kar gayā aur bhī lambā mirā saaya sūraj
Dālte us pe kamandeñ vo koī chāñd na thā
sau jatan sab ne kiye haath na aayā sūraj
ḳhuub vāqif thā vo insān ke andhe-pan se
jis ne bhī din ke ujāle meñ jalāyā sūraj
log kahte rahe sūraj ko dikhā.eñge charāġh
aur hī rang thā jab sāmne aayā sūraj
shab ko bhī ruuh ke āñgan meñ rahī dhuup 'qatīl'
chāñd tāroñ ne bhī aa kar na bujhāyā sūraj
zist ki garmi-e-bedar bhi laya suraj
khul gai aankh meri sar pe jo aaya suraj
phir shu'a'on ne mere jism pe dastak di hai
phir jagane mere ehsas ko aaya suraj
kisi dulhan ke jhamakte hue jhumar ki tarah
raat ne subh ke mathe pe sajaya suraj
sham ko ruTh gaya tha mujhe taDpane ko
subh-dam aap mujhe DhunDne aaya suraj
kam na tha us ka ye ehsan ki jate jate
kar gaya aur bhi lamba mera saya suraj
Dalte us pe kamanden wo koi chand na tha
sau jatan sab ne kiye hath na aaya suraj
KHub waqif tha wo insan ke andhe-pan se
jis ne bhi din ke ujale mein jalaya suraj
log kahte rahe suraj ko dikhaenge charagh
aur hi rang tha jab samne aaya suraj
shab ko bhi ruh ke aangan mein rahi dhup 'qatil'
chand taron ne bhi aa kar na bujhaya suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.