gae wo din ki koi gham-shanas aaega
ga.e vo din ki koī ġham-shanās aa.egā
jo aa gayā bhī to kyā dil ko raas aa.egā
chalo to rāh-e-mohabbat meñ be-talab ho kar
maza safar kā to bin-bhūk-pyās aa.egā
madad ko jis kī khaḌā huuñ maiñ sar-nigūñ ho kar
baḌe ġhurūr meñ vo nā-sipās aa.egā
vo sāf-go hai magar baat kā hunar sīkhe
badan hasīñ hai to kyā be-libās aa.egā
ajab nahīñ ki tire dar pe ek roz ye shaḳhs
har ek samt se ho kar udaas aa.egā
maiñ dūriyoñ kā nayā baab khol rakhtā huuñ
abhī vo shaḳhs mire aur paas aa.egā
gae wo din ki koi gham-shanas aaega
jo aa gaya bhi to kya dil ko ras aaega
chalo to rah-e-mohabbat mein be-talab ho kar
maza safar ka to bin-bhuk-pyas aaega
madad ko jis ki khaDa hun main sar-nigun ho kar
baDe ghurur mein wo na-sipas aaega
wo saf-go hai magar baat ka hunar sikhe
badan hasin hai to kya be-libas aaega
ajab nahin ki tere dar pe ek roz ye shaKHs
har ek samt se ho kar udas aaega
main duriyon ka naya bab khol rakhta hun
abhi wo shaKHs mere aur pas aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.