rehl pe hathon ki rakh kar main ruKH ka sahifa sochun hun
rehl pe hathon ki rakh kar main ruKH ka sahifa sochun hun
Rasheeda Ayan
MORE BYRasheeda Ayan
rehl pe hāthoñ kī rakh kar maiñ ruḳh kā sahīfa sochūñ huuñ
aur agar kuchh ban nahīñ paḌtā chupke chupke ro luuñ huuñ
motī ashk sitāre aañsū zardāroñ kī tashbīhāt
bhuuk meñ palkoñ par goyā maiñ jvaar ke daane tolūñ huuñ
jab koī zardār mile hai raah meñ apnī chaal meñ mast
patthar se kyā Takrānā maiñ ek kināre ho luuñ huuñ
nanhe nanhe hāthoñ meñ jab bhiik kā kaasa dekhūñ maiñ
der talak maiñ haath sameTe ḳhālī jeb TaTolūñ huuñ
sarsoñ ke khaliyān pe qābiz añdhiyāroñ ke shākī haiñ
maiñ to lahū ke diip jalā kar chain se shab bhar so luuñ huuñ
mun.im jab tahqīr se dekhe mere sūkhe sūkhe haath
poñchh ke peshānī se pasīna apne haath bhigo luuñ huuñ
sher kahāñ ye dil ke darvāze par halkī dastak hai
ek kanī almās kī jis se patthar meñ dar kholūñ huuñ
rehl pe hathon ki rakh kar main ruKH ka sahifa sochun hun
aur agar kuchh ban nahin paDta chupke chupke ro lun hun
moti ashk sitare aansu zardaron ki tashbihat
bhuk mein palkon par goya main jwar ke dane tolun hun
jab koi zardar mile hai rah mein apni chaal mein mast
patthar se kya Takrana main ek kinare ho lun hun
nanhe nanhe hathon mein jab bhik ka kasa dekhun main
der talak main hath sameTe KHali jeb TaTolun hun
sarson ke khaliyan pe qabiz andhiyaron ke shaki hain
main to lahu ke dip jala kar chain se shab bhar so lun hun
munim jab tahqir se dekhe mere sukhe sukhe hath
ponchh ke peshani se pasina apne hath bhigo lun hun
sher kahan ye dil ke darwaze par halki dastak hai
ek kani almas ki jis se patthar mein dar kholun hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.