mausam KHushbu rang dhanak ke manzar sare uske the
mausam KHushbu rang dhanak ke manzar sare uske the
Kahkashan Tabassum
MORE BYKahkashan Tabassum
mausam ḳhushbū rang dhanak ke manzar saare us ke the
raat kī kaalī chhāyā merī chāñd sitāre us ke the
biich samundar baḳht hamārā sāhil tak ye aatā kab
mauj-e-havā pe naam thā us kā duur kināre us ke the
sahmī sahmī gūñgī bahrī ek gujaryā merī thī
hañste gaate dhuul uḌāte rāj-dulāre us ke the
ik chhoTī sī chhat kī ḳhātir kyā kyā ḳhvāb gañvā baiThī
bhuul ga.ī ki īñTeñ us kī miTTī gaare us ke the
zanjīroñ ke badle ab bhī gahne paatī huuñ jaise
sadiyoñ se ye jabr ke bandhan biich hamāre us ke the
kitnī ajab taqsīm 'tabassum' kartī hai ye duniyā bhī
merā hissa zahr-e-halāhal amrit dhāre us ke the
mausam KHushbu rang dhanak ke manzar sare us ke the
raat ki kali chhaya meri chand sitare us ke the
bich samundar baKHt hamara sahil tak ye aata kab
mauj-e-hawa pe nam tha us ka dur kinare us ke the
sahmi sahmi gungi bahri ek gujarya meri thi
hanste gate dhul uDate raj-dulare us ke the
ek chhoTi si chhat ki KHatir kya kya KHwab ganwa baiThi
bhul gai ki inTen us ki miTTi gare us ke the
zanjiron ke badle ab bhi gahne pati hun jaise
sadiyon se ye jabr ke bandhan bich hamare us ke the
kitni ajab taqsim 'tabassum' karti hai ye duniya bhi
mera hissa zahr-e-halahal amrit dhaare us ke the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.