mange hai ek sitara sar-e-asman phir
māñge hai ik sitāra sar-e-āsmān phir
dil ko ye zid ki sū-e-ufuq ho uḌaan phir
ab ai qafas nashīnoñ uThāo du'ā ko haath
hai shāḳh-shāḳh mausam-e-vahm-o-gumān phir
har lamha kis mahāz kī jānib safar meñ hai
khīñche hue ragoñ meñ lahū kī kamān phir
dariyāoñ kā ye chup to ḳhatarnāk hai bahut
bāñdho buland shāḳh pe logo machān phir
pahle ḳhirāj maañg rahā hai amīr-e-vaqt
lauTā.egā vo shahr meñ amn-o-amān phir
dil tang ho gayā to zamīñ bhī hui hai tang
ham ḳhvāb ke nagar meñ banā.eñ makān phir
in hichkiyoñ kā kuchh to sabab hogā 'kahkashāñ'
shāyad kisī ko aayā kahīñ merā dhyān phir
mange hai ek sitara sar-e-asman phir
dil ko ye zid ki su-e-ufuq ho uDan phir
ab ai qafas nashinon uThao du'a ko hath
hai shaKH-shaKH mausam-e-wahm-o-guman phir
har lamha kis mahaz ki jaanib safar mein hai
khinche hue ragon mein lahu ki kaman phir
dariyaon ka ye chup to KHatarnak hai bahut
bandho buland shaKH pe logo machan phir
pahle KHiraj mang raha hai amir-e-waqt
lauTaega wo shahr mein amn-o-aman phir
dil tang ho gaya to zamin bhi hui hai tang
hum KHwab ke nagar mein banaen makan phir
in hichkiyon ka kuchh to sabab hoga 'kahkashan'
shayad kisi ko aaya kahin mera dhyan phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.