husn ho merā dil-navāz husn kī dil-navāz maiñ
mere uThā.eñ naaz vo us ke uThā.ūñ naaz maiñ
kaun huuñ aur kyā huuñ maiñ koī na ye samajh sakā
bazm-e-jahāñ meñ aate hī ban ga.ī ek raaz maiñ
husn meñ aur ishq meñ kaise nibhegī ai ḳhudā
husn jafā-shi.ār hai aur vafā-navāz maiñ
mere shab-e-firāq meñ kaash ajal ho mehmāñ
phir to tilism-e-zindagī khol duuñ terā raaz maiñ
ḳhūgar-e-ġham jo ho ga.ī is meñ mirā qusūr kyā
aap ne ġham diye mujhe ban ga.ī ġham-navāz maiñ
aaj vo mast-e-nāz jo dil meñ huā hai mehmāñ
ab ye jigar ko rashk hai bantā harīm-e-nāz maiñ
tujh meñ chhupī huī huuñ maiñ mujh meñ chhupā huā hai tū
saaz jo tū hai naġhma maiñ naġhma jo tū hai saaz maiñ
ban ke miTūñ to haañ miTūñ husn-e-shah-e-hijāz par
miT ke agar banūñ to huuñ ḳhāk-e-rah-e-hijāz maiñ
hech mirī nigāh meñ daulat-e-kā.enāt hai
kyūñki azal ke din se huuñ banda-e-be-niyāz maiñ
husn ho mera dil-nawaz husn ki dil-nawaz main
mere uThaen naz wo us ke uThaun naz main
kaun hun aur kya hun main koi na ye samajh saka
bazm-e-jahan mein aate hi ban gai ek raaz main
husn mein aur ishq mein kaise nibhegi ai KHuda
husn jafa-shiar hai aur wafa-nawaz main
mere shab-e-firaq mein kash ajal ho mehman
phir to tilism-e-zindagi khol dun tera raaz main
KHugar-e-gham jo ho gai is mein mera qusur kya
aap ne gham diye mujhe ban gai gham-nawaz main
aaj wo mast-e-naz jo dil mein hua hai mehman
ab ye jigar ko rashk hai banta harim-e-naz main
tujh mein chhupi hui hun main mujh mein chhupa hua hai tu
saz jo tu hai naghma main naghma jo tu hai saz main
ban ke miTun to han miTun husn-e-shah-e-hijaz par
miT ke agar banun to hun KHak-e-rah-e-hijaz main
hech meri nigah mein daulat-e-kaenat hai
kyunki azal ke din se hun banda-e-be-niyaz main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.