main bikhar jaun sameTen mujhe uski aankhen
maiñ bikhar jā.ūñ sameTeñ mujhe us kī āñkheñ
apnī palkoñ pe sajā leñ mujhe us kī āñkheñ
ruuTh jā.ūñ to ishāre se manā leñ mujh ko
aur kho jā.ūñ to DhūñDeñ mujhe us kī āñkheñ
ghar kī dahlīz se lag kar mirā rasta dekheñ
der se aa.uuñ to boleñ mujhe us kī āñkheñ
rāt-bhar mere ta'āqub meñ phireñ galiyoñ meñ
sub.h ho jaa.e to ro.eñ mujhe us kī āñkheñ
ghar meñ mil jaa.eñ to chhup jaa.eñ mirī āñkhoñ se
raah meñ paa.eñ to chheḌeñ mujhe us kī āñkheñ
maiñ jo chhup jā.ūñ kabhī raat kī tārīkī meñ
apnī palkoñ se TaToleñ mujhe us kī āñkheñ
ḳhatm ho jaa.e ye hoñToñ ke jazīroñ kā safar
pyaas bujh jaa.e Dubo deñ mujhe us kī āñkheñ
ab yahāñ koī nahīñ rahtā magar phir bhī 'shakīl'
jaise khiḌkī se pukāreñ mujhe us kī āñkheñ
main bikhar jaun sameTen mujhe us ki aankhen
apni palkon pe saja len mujhe us ki aankhen
ruTh jaun to ishaare se mana len mujh ko
aur kho jaun to DhunDen mujhe us ki aankhen
ghar ki dahliz se lag kar mera rasta dekhen
der se aaun to bolen mujhe us ki aankhen
raat-bhar mere ta'aqub mein phiren galiyon mein
subh ho jae to roen mujhe us ki aankhen
ghar mein mil jaen to chhup jaen meri aankhon se
rah mein paen to chheDen mujhe us ki aankhen
main jo chhup jaun kabhi raat ki tariki mein
apni palkon se TaTolen mujhe us ki aankhen
KHatm ho jae ye honTon ke jaziron ka safar
pyas bujh jae Dubo den mujhe us ki aankhen
ab yahan koi nahin rahta magar phir bhi 'shakil'
jaise khiDki se pukaren mujhe us ki aankhen
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 49)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.